Re: SHAITAN-------IBLEES
azeezam lahori sb, asal deene islam to wohee hai jo quran ki abaarat main mojood hai magar us abaarat ko samajhne waale abhi duniya main behot kam log hen. in ki tadaad irtqayee lihaaz se badhti rahe gi magar yeh aik sust raftaar amal hai. agar is kaam ko inqalaabi tareeq par chalaaya jaaye jo yeh kaam jaldi bhi ho sakta hai. yani log khud bhi woh taleem haasil karen jo quran ko samajhne ke liye laazmi hai aur doosrun ki bhi is baare main bharpoor madad karen. yun samjhen jitne ziyaada log is baat par saheeh tarah se tawajo den ge kaam utni hi jaldi ho ga.
quran ko samajhne ke liye bunyaadi baat zabaan se mutalqa maloomaaat ka hona az bas laazmi hai keh yeh kaise wajood main ayee aur kaise irtqaa pazeer hui. yeh is liye laazmi hai kyunkeh yeh ham ko bataati hai is main ilfaaz kahaan se aaye aur un ko jo maani diye ge woh kaise wajood main aaye.
jab bacha peda hota hai to ilfaaz main baaten nahin karte balkeh chup chaap har shai ko apne hawaas ke zariye apne andar samoota jaata hai. aik waqt aata hai woh jo kuchh apne dimaagh main jama paata hai us ko doosrun ko bataana chahta hai. aik arse ke baad woh itna jaan leta hai keh woh jo jo awaaz nikaalta hai us ka log kuchh na kuchh matlab lete hen. jab woh dekhta hai keh aik awaaz jab woh baar baar nikaalta hai to logoon ka us par aik hi raade amal hota hai to yun woh jaan leta hai us ke ishaare aur awaazen deegar logoon ko mutaasir karti hen. woh in se kaam lena shuroo kar deta hai. logoon ko mazeed dekhta hai keh woh aik doosre ke ishaarun par yaa awaazun par kaisa radde amal zahir karte hen to isi liye woh bhi jab logoon ka waisa hi radde amal chahta hai to wohee ishaare karta hai yaa awaazen nikaalta hai. yun aahista aahista bacha wohee zabaan bolna shuroo kar deta hai jo deegar log us ke ird gird bolte hen. isi baat ko insaan ki ibtadaa ki taraf le jaayen keh insaan ne zabaan ijaad kaise ki. insaan ilfaaz kaise wajood main laaya aur un ko us ne kin kin tasawuraat se taabeer kiya aur kia kia maani apnaaye waghera waghera.
baat yaheen par khatam nahin hoti balkeh aage chal kar yeh bhi maloom ho jaata hai keh khudaa ne quran ke nazool ke liye arbi zubaan ka intkhaab hi kyun kiya. is liye keh arbi ke siwaa puraani tamaam zabaane jo lafzun par nahin maadun par mabni thin dam tod rahee thin maslan hebrew waghera. insaan jab se duniya main aaye zabaanu ko taraqi dete rehe aur yun zabaanen badalti chali gayeen. arbi wahid aisi zabaan hai jo insaanu ko in ke maazi ki zabaanu se bhi milaati hai aur mojooda zamaane ki zabaanu se bhi aur aainda aane waali zabaanu se bhi milaaye rakhe gi quran ki wajah se aur duniya ke na badalne waale haqaaiq ki wajah se. doosri wajah yeh thi ke ilfaaz par mabni zabaanen aisi hen keh in main khudaa apna matlab bayaan nahin kar sakta tha insaanu ke liye kyunkeh insaani dimaagh aisi zabaanu ka mutahammal nahin jin main har baat ko doosrun tak pohnchaane ke liye bahot hi ziyaada ilfaaz adaa karne paden. doosre lafzun main jo paighaam khudaa ne insaanu ko quran main arbi zabaan main diya aur us dor main diya jis main arbi zabaan taraqi pazeer thi agar wohee paighaam khudaa duniya ki taraqi yaafta zabaanu main deta to us ki abaarat itni nahin hoti jitni quran ki hai balkeh isse kayee gunaan hoti jisse kayee librariyan bhar jaatin. kyunkeh taraqi yaafta zubaanen aik had tak precision zabaanen ban chuki hoti hen jin main ilfaaz ke maani mehdood hote jaate hen. yahee wajah hai har baat ke liye koi aur hi lafz hota hai jab keh taraqi pazeer zabaan main aik lafz kayee maanu ke liye istemaal hota hai. is main bhi aap bache ki misaal le lijiye keh jab woh baaten karni shuroo karta hai to har apna matlab aik hi awaaz se bayaan karta hai. kuchh arse ke baad kisi aur lafz par bhi us ko uboor haasil ho jaata hai aur yun waqt ke saath saath us ke ilfaaz ka zakheera badhta jaata hai. yun bacha bahot se khayaalaat bahot hi kam ilfaaz main bayaan karta hai phir aahista aahista woh zayaada khayaalaat ziyaada lafzun main zahir karta hai. bache ki baten jaise kam ilfaaz main maan baap ko samajh aa jaati hen isi tarah jo log un aloom se waaqif hen jo quran ko samajhne ke liye darkaar hen un ko quran ka paighaam samajh aa jaata hai kam ilfaazi ke bawjood. agar khudaa quran ke bajaaye koi bahot hi bada encyclopeadia naazal kar deta to kia insaan us ko padh sakte? phir padhna hi nahin us ko yaad rakhna likhna taa keh us ki kaapiyan banayee jaa saken waghera waghera aisa maamla ban jaata jo insaani taaqat se bahir tha.
yahee wajah hai is baat ko samajhna laazmi hai keh khudaa to apni taraf se logoon ke liye aik mukammal mufassal kitaab bhej deta jis ki tafseer ki zaroorat hi na padti magar log us ko istemaal main na laa sakte. phir yeh keh agar khudaa har baat hi khud insaanu ko bataa deta to insaanu ke karne ko kia reh jaata? woh to yun ho jaata jaise khudaa ne aik robot banaaya hai aur us ko poori tarah program kar diya hai bajaaye keh us ko khud ko program karne de. kyunkeh logoon ke azhaan mehdood hen yahee wajah hai khudaa ko bhi apne kaamun ko mehdood hi rakhna padta hai. aur phir yahee wajah hai khudaa ne to apni taraf se logoon ko ilm wahee kar diya magar log to baat ko samajhte samajhte samjhen ge kyunkeh insaanu ko irtqayee yani taraqi ki manaazil se guzarna padta hai. aisa nahin hai keh idhar khudaa ne baat ki udhar insaan ne is ko poori tarah samajh liya.
hamaare molvi hazraat in bareekyun se waaqfiyat haasil nahin karte isi liye bekaar fatwe banaate aur bakhairte rehte hen aur jo log thoda bahot ilm rakhte hen un ke bataaye huwe deen se door ho jaate hen apni naa samjhi ki wajah se. yahee wajah hai ummat ko molvi hazraat ko apni apni hadood ke andar rakhna chahiye taa keh yeh log ummat main apni naasamjhi ki wajah se fitna fasaad karwaane se baaz rehen.
is qisam ki baaten bahot tafseel talab hoti hen aur in ko samjhe baghair guzaara bhi nahin hai. isi liye logoon ko deene islam ki itni samajh nahin hai jitni ka un ko dawaa hota hai. is liye logoon ko aapas main ladayee jhagde ke bajaaye asal baatun ko jaanane main waqt guzaarna chahiye jis ka bahot faaida ho ga.
Quran ko samajhna sirf arbi zabaan jaanane se mumkin nahin ho jaata warna khud arab log quran se is qadar naa aashnaa na hote jitne ke woh hen haalan keh quran un ki apni zabaan main hai. is baat ko sochen khud hamaare pakistan ke log kyun itne jahil hen kia woh pakistan ki zabaanun main baat nahin karte aapas main? wajah yeh hai un ko woh cheezen jaanane ka ishtyaaq hasil nahin jo insaan ko aqlo fikar ki taraf mutawaje karta hai. un ki dilchasbi bahot hi sathee aur mehdood hai. isi liye woh qowm taraqi nahin kar sakti jis main cheezun ko jaanane ki lagan nahin hai. jin ko thodi bahot lagan hai bhi un ke peechhe mullah log dande liye phirte hen keh woh cheezun ko jaanane ka shoq hi kyun rakhte hen keh un ki nazar main har kaam jo un ki ilmi satah se buland ho ghalat hai isi liye us ke mutaliq maloomat haasil karne ki koi zaroorat nahin hai qowm ko. isi wajah se ummat aaj is mushkil se guzar rahee hai jo hamaare saamne hai keh qowm mullah parast hai deen parast nahin hai.
asal baat yeh hai quran insaanu ki apni zabaan main khudaa ke maqaasid ki tarjumaani karta hai, khudaa quran main insaani zabaan main apna muddaa bayaan karta hai. ab khudaa ka mudaa kia hai insaan samajhne ki koshish karen ge to hi samjhen ge warna aur kia tareeqa hai us ki baatun ko samajhne ka? isi mudaa ko samajhne ke liye quran ke ilfaaz ke woh maani nahin liye jaa sakte jo ham insaan apne apne matlab ke liye lete hen jab ham aapas main baaten karte hen. is liye keh hamaara ilm mukammal nahin hai haqaaiq ke baare main jin ke mutaliq khudaa ham se baat karta hai. misaal ke tor par Allah ham se quran main zameen ke baare main badi tafseel se baat karta hai magar kia ham jaante hen zameen kia hai, yeh kaise wajood main aayee yaa kaise kaam karti hai yaa is ka maqsad kia hai? ham khudaa ki baatun ko jo woh zameen ke baare main karta hai tab jaa kar samjhen ge jab ham khud yeh jaanane ki koshish karen ge keh zameen hai kia balaa aur yeh haise wajood main layee gayee aur kia kia karti hai aur kaise kaise karti hai waghera waghera. agar ham zameen ki jaankaari haasil hi nahin karen ge to quran ko kia khaak samjhen ge? isi tarah quran insaan ke bare main baat karta hai bahot hi tafseel ke saath magar agar ham ne insaan ke baare main kuchh bhi jaanane ki koshish hi nahin ki to ham quran ki baatun ko kia samjhen ge? yeh to aisi baat ho gayee keh aik shakhs ham se kisi zubaan main baat karta hai aur khud ham ko woh zabaan nahin aati aur ham seekhna bhi nahin chahte magar ham us ke saath baaten zaroor karne ke khwaan hen. isi tarah quran bahot si deegar cheezun ke bare main baat karta hai.
sawaal yeh peda hota hai kia ham ne un cheezun ke baare main tafseel se jaankaari haasil kar li hai? agar jawaab nahin main hai to ham yeh dawaa kaise kar sakte hen keh ham ne quran ko saheeh tarah se samajh liya hai? yahee wajah hai quran arbi zubaan main naazil kiya gayaa kyunkeh is main ilfaaz maadun se bante hen aur maade kaise wajood main aaye hen yeh ham ko maloom karne ki zaroorat hai taa keh ham samajh saken quran ilfaaz ko maani kaise deta hai aur hamaare liye qurani ilfaaz ke kia kia maani hen agar ham quran ka paighaaam saheeh tor par samajhna chahte hen. yahee wajah hai koi shakhs arab mumaalik main peda hone se quran ka aalim nahin ban jaata. is main bahot se raaz hen jin par se parda uthaana laazmi hai. khud arbun ko bhi ham ko samjhaana pade ga keh quran ko woh kaise samjhen to samajh aaye ga warna nahin. aur yahee wajah hai jab tak ham quran ko samajhne ke saheeh tareequn ko nahin samajh lete quran samajhna hamaare liye naamumkin hai. aur jab tak ham khud quran ko nahin samjhen ge doosrun ko kia samjhaayen ge? is liye ham ko agar deene islam se mohabbat ka dawaa hai to quran ko samajhne ki koshishun main lag jaana chahiye. Allah yaqeenan hamaari madad farmaaye ga agar ham apne daawe main sache hen.