Shairs on Zindagi (by INCOMPLETE)

Re: Shairs on Zindagi (by INCOMPLETE)

  • Bar tar az andesha-e-sood-O-ziyaan hay Zindagi Hay kabhi Jaan aur kabhi tasleem-e-jaan hay Zindagi

Tu issay Paimaana-e-Imroz-O-fardaa say naa naap
Javedaan, Pehamm dawaan, Har damm jawaan hay Zindagi

Apni dunyaa aap peda kar agar zindoun main hay
Siir-e-Adam hay, zameer-e-kun fikaan hay Zindagi

Zindagaani ki haqeeqat Koh-kunn kay dil say pooch
Joo-e-sher-O-teesha-O-sang-e-giraan hay Zindagi

Bandagi main ghatt kay reh jaati hay ik joo-e-kamm aab
aur aazaadi main behr-e-bay karaan hay Zindagi

Aashkaaraa hay yeh apni quwwat-e-taskheer say
garchay ik mitti kay paikar main nihaan hay Zindagi

Qulzum-e-Hasti say Ubhraa hay tu maanind-e-Hubaab
Iss ziyaan khaanay main teraa imtehaan hay **Zindagi

< this is my one of the favorites after second shair]

Khaam hay jubb tukk tu hay mitti kaa aik an(m)baar tu
Pukhtaa ho jaaey tau hay shamsheer-e-bay zanhaar tu

Ho sadaqat kay liyeh jiss dill main marnay ki tarrap
Pehlay apnay paikar-e-khaaki main jaan paidaa karay

Phoonk daalay yeh zameen-O-aasmaan paida karay
Aur khaakistar say aap apna jahaan paida karay

Zindagi ki quwwat-e-pinhaan ko kar day aashkaar
Taa yeh chingaari farogh-e-javedaan paida karay

Khaak-e-mashriq par chamak jaaey misaal-e-aaftaab
Taa bidakhshaan phir wohi La'al-e-giraan paida karay

Soe-e-girdoon naala-e-shabgeer kaa bhaijay safeer
Raat kay taaroun main apnay raazdaan paida karay

Yeh Gharri Mehshar kee hay tu arsa-e-mehshar main hay
Paish kar ghaafil, Amal koie agar daftar main hay

*