Shairs on Zindagi (by INCOMPLETE)

Re: Shairs on Zindagi (by INCOMPLETE)

lagta hai aap log mujeh bhool he gaye ho
but thanks 2 every one 4 sharing all your beautiful shairs
aik aur meri taraf se

Kaun jane kab maut ka paigam aa jaye,
Zindagi ki akhari sham aa jaye,
Hum toh dhundhte hain waqt aisa jab,
Hamari zindagi apke kam aa jaye.

Re: Shairs on Zindagi (by INCOMPLETE)

lo G aap bhe kamal hein,jo thread starter hey usey kon bhool sakta hey
aur meri **ZINDAGI **bus ho gai hey,ab koi sher nahi hey mery paas

Re: Shairs on Zindagi (by INCOMPLETE)

zindagii kii raunaq ko yun sajaanaa partaa hai
dard sahanaa partaa hai gam chhupaanaa partaa hai

Re: Shairs on Zindagi (by INCOMPLETE)

zindagii tuune lahuu leke diyaa kuchh bhii nahin
tere daaman men mere vaaste kyaa kuchh bhii nahin
mere in haathon kii chaaho to talaashi le lo
mere haathon men lakiiron ke sivaa kuchh bhii nahin

Re: Shairs on Zindagi (by INCOMPLETE)

zindagii tujh ko manaane nikale
ham bhii kis darjaa diivaane nikale
kuchh to dushman the muKhaalif suff men
kuchh mere dost puraane nikale

Re: Shairs on Zindagi (by INCOMPLETE)

nice shers by SAOO

Re: Shairs on Zindagi (by INCOMPLETE)

Thankooooo janab

Re: Shairs on Zindagi (by INCOMPLETE)

nice thread. =)

Re: Shairs on Zindagi (by INCOMPLETE)

  • Bar tar az andesha-e-sood-O-ziyaan hay Zindagi Hay kabhi Jaan aur kabhi tasleem-e-jaan hay Zindagi

Tu issay Paimaana-e-Imroz-O-fardaa say naa naap
Javedaan, Pehamm dawaan, Har damm jawaan hay Zindagi

Apni dunyaa aap peda kar agar zindoun main hay
Siir-e-Adam hay, zameer-e-kun fikaan hay Zindagi

Zindagaani ki haqeeqat Koh-kunn kay dil say pooch
Joo-e-sher-O-teesha-O-sang-e-giraan hay Zindagi

Bandagi main ghatt kay reh jaati hay ik joo-e-kamm aab
aur aazaadi main behr-e-bay karaan hay Zindagi

Aashkaaraa hay yeh apni quwwat-e-taskheer say
garchay ik mitti kay paikar main nihaan hay Zindagi

Qulzum-e-Hasti say Ubhraa hay tu maanind-e-Hubaab
Iss ziyaan khaanay main teraa imtehaan hay **Zindagi

< this is my one of the favorites after second shair]

Khaam hay jubb tukk tu hay mitti kaa aik an(m)baar tu
Pukhtaa ho jaaey tau hay shamsheer-e-bay zanhaar tu

Ho sadaqat kay liyeh jiss dill main marnay ki tarrap
Pehlay apnay paikar-e-khaaki main jaan paidaa karay

Phoonk daalay yeh zameen-O-aasmaan paida karay
Aur khaakistar say aap apna jahaan paida karay

Zindagi ki quwwat-e-pinhaan ko kar day aashkaar
Taa yeh chingaari farogh-e-javedaan paida karay

Khaak-e-mashriq par chamak jaaey misaal-e-aaftaab
Taa bidakhshaan phir wohi La'al-e-giraan paida karay

Soe-e-girdoon naala-e-shabgeer kaa bhaijay safeer
Raat kay taaroun main apnay raazdaan paida karay

Yeh Gharri Mehshar kee hay tu arsa-e-mehshar main hay
Paish kar ghaafil, Amal koie agar daftar main hay

*

Re: Shairs on Zindagi (by INCOMPLETE)

Jub bhee milti hai Mujhay, Ajnabi lagti kiouN hai?
Zindagi roz naYe ruNg badalti kiouN hai? :)


Zindagi Zindah dili kaa naam hai
Murdah dil kiyaa khaak jiyaa kartai haiN?

Re: Shairs on Zindagi (by INCOMPLETE)

hummm