**Jaagti aankhon main neend bhar de koi
Koi mujhe mujh se ab aazaad karay
Muddat se hain jaag rahi aankhen tumhari
Aa’o ab inn main neend bhar doon main
Gehri weeraan aankhen na bhaayen mujhko
Aao kaajal se apna naam in main likh du main**
ps: KKF, sharminda mat kiya karo, yaar. Bohut ziada cheeni ho jaati hai app ki taareef main.
lol...yeh aapkaa Khayaal hai. jo likhaa maiN ne vo meraa Khayaal tha...let's walk our lines! :) hai na? :p
to, apnii aawaaz meN kab record kar rahii haiN? :)