zindagi ke haseen lamhe ka
Khoobsurat sa intekhaab ho tum
Re: ~~~Shair of the Day ~~~
Aap RooThe hi humse rehte haiN,
Ishq me Mubtilaa Zamaana hai...!!
Re: ~~~Shair of the Day ~~~
Apna ye haal , jee haar chuke luT bhi chuke,
Aur Muhabbat wahi Andaaz Puraane maaNge.
Re: ~~~Shair of the Day ~~~
"Ibadat rab ki aur soorat yaar ki ho,
sajda rab ka aur rasam pyar ki ho,
ashiqo ke mahzab ka kaya kahna,
zikar rab ka aur baat yaar ki ho
Re: ~~~Shair of the Day ~~~
Dil se tujhko be-dili hai, mujhko hai dil ka guroor. Tu ye mane ke na mane, log manenge jaroor. Ye mera diwanapan hai, ya muhabbat ka suroor...
Re: ~~~Shair of the Day ~~~
Nice Anjul Bhaiya