ishq karney kai bhee aadab hua karety hain
jaagtee aankhon main bhee khuwaab hua karety hain
zaroori tou nahi kai har koi ro kar dekhaey khushk aankhon main bhee sailaab hua kartey hain…!!!
merey har sawaal ka tujhay jawaab aaey ga
aai zindagi tou gham na kar kai inkilaab aaey ga
mitt hee jaein gai yeah andherey kaali raat kai
tou jab apney aabgon main aaftaab aaey ga
aai zindagi too gham na kar kai inkilaab aaey ga
mujhay bhula rahey ho tou bhulao shouk sai maggar
mera khayaal aaey ga tou beyhissab aaey ga
aai ishq yeah dunia waaley beykaar kee batein kartey hain
paayal kai ghumon ka ilm nahee chankaar kee baatein kartey hain
ulfat kai naey deewaano ko kis tarrah samjhey koi
nazro par lagi hai paabandi deedaar kee batein kartey hain
rafeeqon sai tou rakeeb achey jo jal kar naam laitay hain
phooloon sai tou kaantey achay jo daaman thaam laitay hain!