shaid had-e-aflaaq k us paar bhi mein tha

logon k liye saahib-e-kirdaar bhi mein tha
khud apni nigahon mein gunah’gaar bhi mein tha

kyon ab mere mansab ki salaami ko kharay ho
yaaro kabhi ruswa sar-e-baazaar bhi mein tha

mein khud hi chupa tha kaf-e-qaatil ki shikan mein
maqtool ki tooti hui talwaar bhi mein tha

meri hi sada loat kar aee hai mujhi tak
shaid had-e-aflaaq k us paar bhi mein tha

manzil pe jo pohncha hon to maloom hua hai
khud apnay liye raah ki deewaar bhi mein tha

ab mere taaruf se gurezan hai tu lekin
kal tak teri pehchaan ka maeyaar bhi mein tha

Re: shaid had-e-aflaaq k us paar bhi mein tha

nice sharing Abla-pa :)

Re: shaid had-e-aflaaq k us paar bhi mein tha

nice sharing :k:

Re: shaid had-e-aflaaq k us paar bhi mein tha

Nice :k:

Re: shaid had-e-aflaaq k us paar bhi mein tha

nice one..!!!!

Re: shaid had-e-aflaaq k us paar bhi mein tha

manzil pe jo pohncha hon to maloom hua hai
khud apnay liye raah ki deewaar bhi mein tha

waaah abla g, bahut khoob

Re: shaid had-e-aflaaq k us paar bhi mein tha

i like this kind of poetry from u aabla_pa....very zabardast!

Re: shaid had-e-aflaaq k us paar bhi mein tha

buhut khoob...aabla paa
shair ka naam bhi likhha hutaa......:)

Re: shaid had-e-aflaaq k us paar bhi mein tha

yaar aap aam khaein, guthliyan mat ginein. :)

Waisay I dont know the name of the poet, in most cases, while posting. I shall try 2 write the poet's name in case i know. Okay.
Cheers. :)

Re: shaid had-e-aflaaq k us paar bhi mein tha

very nawazish :D