**Shah Jahan Ne Taj Mahal Ki Har Deewar Ko Dekha, **
**Har Meenar Ko ****Dekha, ****Har Kaleen Ko Dekha, **
**Har Khidki Se Dekha… **
**Aur Bola… Maa **Kasam,
** ****Bahut Kharcha Ho Gaya !!! **
Re: Shah Jahan & Taj Mahal
A perfect Cafe` thread for that matter ![]()
Re: Shah Jahan & Taj Mahal
Lay kar daulat ka sahara aik shehanshah nay
uraya hay ghareeboon ki mohabbat ka mazzaq
Sahir ludhianvi when invited to Taj mahal by Gandhi.
Re: Shah Jahan & Taj Mahal
Couldn’t help it when read this funny stuff.
Re: Shah Jahan & Taj Mahal
Right on the dot.
Re: Shah Jahan & Taj Mahal
Shair ka Sattya Naas kardia hay ![]()
Sahir ki Rooh TaRap rahi hogi.. ye Dekh ke… ![]()
Sahir-e-Azam Ne isstarha Arz Farmayi thi… ![]()
Ye chaman Zar ye jamna ka kinara ye mehil
Ye munaqash Daro deewar ye mehraaab ye taaq
Ikk Shehehnshaah ne Doulat ka Sahara lekar
Hum ghareebooN ki muhabbat ka uRaya hay mazaaq.
Re: Shah Jahan & Taj Mahal
Thanks for fixing it GS. Bohat saal pehlay suna tha, iss liye bhol gaya tha.
Re: Shah Jahan & Taj Mahal
Mazeed Yaad kar lo.. ![]()
**Taj Teray liye ikk mazhare Ulfat hi sahi
Tujh ko iss wadiye RangeeN se aqeedat hi sahi
Meray mehboob kaheeN aur mila kar mujh se
Bazme Shahi maiN GhareebooN ka Guzar kia maani
An Ginat LogooN ne Dunya maiN muhabbat ki thi
Kaun kehta hay ke Saadiq na Thay Jazbay Un ke
Lekin Unke liye Tasheer ka saamaan naheeN
KiuNke Wo loag bhi apnay Hi Tarha Muflis thay..
**
![]()
Re: Shah Jahan & Taj Mahal
kuchh aur :
Meray mehboob unhain bhi to muhabbat hogi
jin ki sanna-ee nay bakhshi hai issay shakl e jameel
Unn k piyaroN k maqabir rahay bay naam o numood
aaj tak unn bhi jalayi na kissi nay qandeel
meray mahboob pas e aprda e tash-her wafaa
tuu nay sitwat k nishanoN ko to dekha hota
murda shahoN k maqabir say behalnay wali
apni tareek makanoN ko to dekha hota
yeah aik nazariyaa hai
doosra nazariyaa shakeel badayuuni marhooM ka hai
farmatay hain
ik shahanshaah nay banwaa k haseen taaj mahal
saari duniya ko muhabbat ki nishani dii hai
taaj woh shamma’ hai ulfat k sanam khanay main
jis k parwanoN main muflis bhi hain zar daar bhi hain
sang mar mar main ubhartay huway sayoN ki qasam
marhalay piyaar k aasaan bhi dushwaar bhi hain
dil ko ik josh iradoN ko jawani dii hai
Re: Shah Jahan & Taj Mahal
/\ Thanks :)
I wanted to Post all.. BUT... Socha ke..... bas itna hi kafi hay :D
Shukria Ruswa Sahab... :)
Re: Shah Jahan & Taj Mahal
Arz kiya hay …![]()
Before Marrige
Takdir hai magar kismat nahi khulti
tajmahal banana chahata hoon
lekin mumtaz nahi** milti**
After Marriage
Takdir hai magar kismat nahi khulti
tajmahal banana chahata hoon
lekin mumtaz nahi marti
P.S. Mene nahi kaha wese yeh ![]()
Re: Shah Jahan & Taj Mahal
/\ Jiss ne bhi kaha hay… Acha naheeN kaha… Aray marnay ki Kia Zaroorat hay… ![]()
Re: Shah Jahan & Taj Mahal
^ Kion K ...... taj mahal ....... Shah Jahan ki bivi Mumtaz Mahal ka Maqbara tha......bhondu :$
Re: Shah Jahan & Taj Mahal
Lo… Issay Suno… Jab Already Maqbara tha… to Meanz… She was Dead…
Tou.. If DEAD… again marnay ki kia zaroorat thi… ![]()
Re: Shah Jahan & Taj Mahal
bikay ga! … ek dinn YE bhee bikay ga! ![]()
Re: Shah Jahan & Taj Mahal
ohhh goshh who is gonna build a taj mahal for me ![]()
Re: Shah Jahan & Taj Mahal
^ and why is that ![]()
Re: Shah Jahan & Taj Mahal
khula aasaman aacha nahee hai kiya.? ![]()