Abhi Lungar nahi dala
Tikoni Badbaan ki Rasiyan dheeli nahi kein
Abhi mustool apnay paoon kay oopar khurra hay
Safeenay kay bhurray Seenay main
Saansoan ka Zhakeera sursurata hay
Abhi hum naqidana Faslay say
Ajnabi Saahil kay tewar diakhtay hain
Khajooroan kay durakhtoan main chuppi surgoshian sunnay ki khatir
Hum nay apnay kaan zinda kur dye hain
Pahari main siraktay teer andazoan kay karobar pay aankhain lugadi hain
Hamain
Tum apnay Saahil pur
Pazeera ikay kis andaaz kay qaabil samajhtay hau
Yeh tum pur hay
Agar tum teer chaurau gay
Tau hum nay apni aankhoan kay siwa
Sara budan pighlay huay Lohay kay paani main daboya hay
Hamara Hath
Turkash kay khulay moon pay dhurra hay
Kamaan ki khushk aur akri zubban tau
Mudatoan say teer chukhnay kay lye baychain hay
Tumhain yeh ilm hauna chahiye
Key jub hum apnay teer pay
Dushman ki bayain aankh likhtay hain
Tau Bayain aankh hauti hay
Kabhi abroo nahi hauta
Yeh tum pur hay
Agar tum hum kau seenay luganay kay lye
Saahil pur aakur apnay baazoo khaul dau gay
Tau hum bhi
Phurphuratay Baadloan ki Rassiyoan kau khaul daingay
Agar tum teerandazoan ki tauli kau pahari say utarau gay
Tau hum bhi
Jism say lipta hua Lauha gira Daingay
Tumharay hur amul kau hum
Barri Eimandari say, burray Insaaf say Rud-e-Amal daingay
Tumhain yeh ilm hauna chahiye
Kay Aankh kay budlay Aankh
Aur Dil kay budlay Dil hamara Zaabta hay
Tumhara Husn-e-Zun hay
Sauch kay hur Zaaviye say Sauchna
Kay hum jau Saahil pay khuray hain
Kis Pazeerayi kay Qaabil hain
Muggar kuch bhi karau
Mud-e-Nuzzar Rukhna
Kay
Hum Mud-e-Muqabil hain