Salam friends,
aap ko ek shair arz kerna chahta hoon umeed hay kay aap ko passand aaey ga. aap dekheen kay shadi kay pehlay larki kiya hoti hay aur shadi kay baad kiya hoti hay..
tu arz kiya hay
jab woh pehlay milli tu chup chup thee
aur main tha kay bolay jata tha
woh dobara milli tu main chup tha
aur usay bolnay ka chaska tha
hooe shadi tu dono chup chup thay
bolnay wala sirf mulla tha
phir yeh aalam tha ka dono boltay thay
aur sara muhalla sunta tha
Allah hafiz
Jaadoogar