**Shabnam nahi kehta ussay shoola nahi kehta
Wo koi b ho main ussay tuj sa nahi kehta
Iss darr se k tu muj ko shafayab na kar de
qatill tujhay kehta hun, maseeha nahii kehta
Darya too hai wo jiss se kinaray challkk uthain
Behtay huway panii ko main darya nahi kehtaa
Gehraii jo dii tu ne meray zakhm_e_ jigarr ko
Main itna samundar ko b gehra nahii kehtaa.
Kiss kiss ki tamana main karu.n pyaar ko taqseem
Har shahks ko main jan_e_tamana nahii kehta
Karta hu.n QATEEL apnay gunaahu.n pe bohat naaz
Inssa.n hun main khud ko fareeshta nahii kehta.**