_Nazish
September 28, 2003, 3:24am
1
Khuda Say Husn Nay Ik Roz Yay Sawaal Kia
Jahaan Main Kion Na Mujh Ko To Nay Lazawaal Kia
Mila Jawaab Kay Tasweer Khaana Hai Dunia
Shab-E-Draaz-E-Adam Kaa Fasaana Hai Dunia
Hooi Hai Rang-E-Taghayur Say Jab Namood Is Ki
Wahi Hai Husn Haqeeqat Zawaal Hai Jis Ki
Kaheen Qareeb Thaa, Yai Guftagoo Qamar Nay Suni
Falak Pay Aam Hoi, Akhtar-E-Sahar Nay Suni
Sahar Nay Taray Say Sun Kar Suna Di Shabnam Ko
Falak Ki Baat Bataa Di Zameen Kay Mahram Ko
Bhar Aayay Phool Kay Aansoo Payaam-E-Shabnam Say
Kali Ka Nana Saa Dil Khoon Ho Gaya Gham Say
Chaman Say Rota Hoaa Mosamam-E-Bahaar Gaya
Shabaab Sair Ko Aaya Tha Sogwar Gaya
-Allama Iqbal
the whole ghazal is:k::k:
thanx for sharing appi:flower1:
AQ
September 28, 2003, 4:49am
3
Re: Shabaab sair ko aaya sogwaar gya
:k:It is one of my favorites and titled in baang-e-dara as Haqeeqat-e-Hus’n .. just for the fact that I have memorized this poem, and that I have the book i know the correct shair is:
Sahar Nay Taray Say Sun Kar Sunaie Shabnam Ko
Falak Ki Baat Bataa Di Zameen Kay Mahram Ko
beautiful choice
excellent selection.....!!
Azad
September 28, 2003, 7:05pm
9
sair ko aya to sair kar kay chalay jana tha ....... gulab chunnay ko kiss nay kaha tha??
Nazish Gi…
Offcourse its Gr8… IQBAL ka tou koi Saani hi naheeN hay…
Thnx for Sharing