Shab ka sukoot dasht ki tanha~i day gaya
Kiya kiya voh yaad~gaar~e~shanasa~i day gaya
AnkhooN ki tarhaaN dil kay dareechay bhi khul ga~ay
Jhoonka hava ka zakhm ko beena~i day gaya
Qatil ki dosti ka saza yafta hooN meiN
Manga tha dard zeher~e~maseeha~i day gaya
Jhuk kar tairi jabeeN pay haya~a jis ko lay uri
Voh rang aur bhi tujhay rana~i day gaya
MeiN nay qalam samajh kay uthaya jo mauj ko
Toofan mairi soch ko gehra~i day gaya