Shab e Isra......

Yaad e Shab Isra Say Ju Seena Maira Chamka
Ankhoon Main Phiree Shula Bajaan Masjid e Aqsa

Jiss Arz e Muqadas Pay Khudawand e Jehaan Nay
Sarkar Ko Nabiyoun Ko Nabiyoun Key Imamat Say Nawaza

Jis Khakh Pay Ashaab Kay Sajdoon Kay Nishaan Hain
Ju Mairay Islaaf Key Tareekh Ka Hissa Hai

Mairaj e Samavi Ka Ju Hai Nuqta e Aghaaz
Ju Qibla e Awal Hai Fidayaan e Huda Ka

Jiss Khakh Say Aaqa Mairay Puhnchay Sir e Quosain
Tay Kartay Howay Arsa Gha e Arsh e Moualla

Dil Ko Mairay Tarpanay Lagi Pastii e Ummat
Jun Jun Mujhay Yaad Aanay Lagi Riffat e Moola

Uss Shah Key Ummat Howi Muhtaj e Zamana
Her Naimat e Quonain Hai Jiss Shah Ka Sadqa

Ju Daher Main Faizan e Rsalat Key Ameen Hai
Woh Quom Howi Sidq o Adalat Say Mauraa

Yeh Haal e Zaboon Ummat e Marhoom Ka Ya Rub!
Abh Shair e Sarkar Say Deekha Nahee Jaata

Phir Millat e Baizaa Ko Sarfaraz e Jahan Kar
Abh Phair Day Mazi Key Taraf Chahra e Farda

Luta Day Baharain Chmanistan e Safa Key
Lehra Day Zamanay Main Sadaqat Ka Pharaira

Hasrat Hai Keh Taaib Bhee Ubharta Howa Daikhay
Zulmaat Key Khandaq Say Hidayat Ka Sawaira…

Re: Shab e Isra......

nice

Re: Shab e Isra…

Nice Sharing :bravo:

Re: Shab e Isra......

Thank u:)

Re: Shab e Isra…

Thank you:)