Shab-e-Furqat jo haaL hota hai

Jabh wo PursaaN-e-Haal hota hai
BaaT karna Muhaal hota hai

Koh Gaya jo tere khayalooN mein
Tujhy Uska khayal hota hai

waheeN unkay Qadam nahee partay
Dil jahaN Paa’aymaaal hota hai

ek luft-e-Khayal ka laamHa
hasil-e-Maah O Saal hota hai

HijR mein toul-e-Zindagii tobah
Moaath ka jii Niddhaal hota hai

Sitam-e-Ishq k sheehdooN pe
Karam-e-Zul Jalal hota hai

Kabhii Tum ne Saba Se phocha bii
Shab-e-Furqat jo haaL hota hai

( Saba Akbar Abadi )

Re: Shab-e-Furqat jo haaL hota hai

Ghazal kaa Khayaal achchhaa hai magar shaa'irah koii nau-mashq lagtii haiN kiuN k mausoofah kii is Ghazal meN baHr kii aGhlaat haiN...i hope she has already fixed them by now.

Re: Shab-e-Furqat jo haaL hota hai

Saba Akbarabadi (By Dr. Muhammad Ali Siddiqi)

A short inrto of Ustad - Sabah Akbar Abadi :slight_smile:

wayse I would love you to point out that BAhR ki galatii with relevant examples - as claimed :slight_smile:

Re: Shab-e-Furqat jo haaL hota hai

ek luft-e-Khayal ka laamHa
hasil-e-Maah O Saal hota hai

:lajawab:

Re: Shab-e-Furqat jo haaL hota hai

Thanks for sharing this article. I remember seeing Saba saheb’s name as poet under many famous naats, milli naghma, etc on PTV

Re: Shab-e-Furqat jo haaL hota hai

poet HE hai SHE nahin

Re: Shab-e-Furqat jo haaL hota hai

I very well know that's why I called him Ustad :)

Re: Shab-e-Furqat jo haaL hota hai

Aal Intikhab Naabigh. :lajawab:

Re: Shab-e-Furqat jo haaL hota hai

Kkf - I am still waiting for the requested - please show me the bahR ki AghlaaT with relevant examples or corrections , you found in this shared ghazal :)

Re: Shab-e-Furqat jo haaL hota hai

JhooT bola hai tu Qaaim us pe bi raho ZafaR
Admi ko Sahib-e-Kirdar hona chahe'ay

:)

Re: Shab-e-Furqat jo haaL hota hai

ek luft-e-Khayal ka laamHa

hasil-e-Maah O Saal hota hai
:lajawab: