**
**
Wo Qissa-e-gham Sunata Raha
Mera zabt aazmaata raha
Aaj ser-e-bazam wo apne
Dil ke daagh dikhata raha
Noha-e-dil.e.barbaad koi
Akheer.e.shab ko gaata raha
Kisi ke haath mein teer thy
Koi zakhm sehlaata raha
Wo sakoon ka mutlaashi tha
Aur mujhe dard bhaata raha
Us ki tanhaai ka khayaal
mujhe her pal satata raha
Kya hai hijr.o.wasal aakhir ?
Waqt mujhe samjhaata raha
Bhulane se wo nahi bhuula
Reh reh ker yaad aata raha
Raqaabat ki inteha dekho!!
Sooraj diya bujhata raha..
Khak hoi main jal jal ker
Zamana raakh urraata raha
**Us ki aankh ka pani m****ujhe **
Shab bher rulata raha …