Aik dafa health dept. ka Director pagal khanon ka round kar raha tha. Pagal khanay ka head psychaitrist usko patients kay baray main bata raha tha.
aik ward kay bahar likha tha “Shaazli ward” - Psychiatrist bola: Sir ayeeyay…is ward ko dekhtay hain..is main woh log hain jin ko “shaazli syndrome” heay…
Director jab is kay undar gayay tau us nay dekha keh aik aadmi buhat roh raha heay…aur rona band naheen karta..aur baar bol raha tha "shaazli…shaazli…shaazli!! " aur rota jata tha…
*Director bola: bechara…yeh kon heay?
Psychiatrist bola: Sir - isay obsessive compulsion heay aik aurat kay baray main jiska naam shaazli tha…woh aurat isay naheen milee tau yeh is halat koh puhanch gaya*
Pher director nay aik aur aadmee dekha…yeh aadmi bhee ro raha tha…magar…yeh shaazli ko bula raha tha…“shaaazli…shaazli…tum agayeen shaazli…tum ajao shaazli…kahan chalee gayeen shaazli”
Director bola: hmmm…yeh kon heay?
Psychiatrist bola: Sir is aadmi nay Shaazli kaay saath waqt guzara tha aur woh is kee friend thee…magar pher is ko chor kar chalee gayee thee
Pher director ko cheekh kee awaz aayee…us nay dekha kay aik aadmi nay cage main say haath nikal kar nurse ka gala pakar leeya heay…aur cheekh raha heay…“shaazli main tumhain zindah naheen rehnay doonga…maar daalon ga…mar jao shaazli!!!”
staff nay nurse ko chura liya tau woh cage kay undar jaakar cheezain phenknain laga…aur cheekhta raha…“Shaazli!!!”
D*irector bola: WOW - aur yeah ko heay?
Psychiatrist bola: Sir yeh woh aadmi heay jis nay shaazli say shaadi kee thee!
*
(moral:
milay tau museebat…na milay tau behaali
…yeh aurat hee tau heay…jis say heay mard kee barbaadi!!!