~ Shaayad phir kabhi meri awaaz na aaye ~

In rishtoon mein kabhi be-rukhi ki khizaan na aaye
Agar chaandni chalkay tu kabhi is ki mujhe sada na aaye
Mein kaise khud ko sambhaal paaonga zara soch tu sahi
Tere laboon pe firaaq ke baad kabhi mera naam na aaye
Fursat ke udaas lamhoon mein jab tujhe maazi ki yaad aye
Kar de mujhe faramosh aise ke kabhi meri yaad na aaye
Tujh ko takleef hogi agar hijr mein bhi mein tujh ko yaad aonga
Hijr na badlay kabhi wasl mein aur tu mere paas na aaye
Jaisa tu ne chaaha hai aisi meri khwaahish kahaan
Ke mujhe teri yaad aaye aur tujhe meri yaad na aaye
Itni be-rukhi se munh mora hai tu ne
Ke bas kabhi tujh per aisa wakt na aaye
Jahaan rahay khush rahay yeh dua hai meri
Aur tujhe kabhi duaoon mein meri yaad na aaye
Bas mujh se sirf ek baat sun lay
Shaayad phir kabhi meri awaaz na aaye
Meri koi khata nahee, be-bas hoon mein
Kaash tujhe kabhi zamanay ki batoon per bharosa na aye
Mein is gham ko seh raha hoon jo kisi aur ki kismat thee
Teri zeest mein kabhi aisa muqaam na aaye
Kaash samajh jaaye tu meri batoon ko
Tau bas pachtaye aur kabhi laut kar na aaye
Tujhe kabhi meri yaad na aaye … :frowning: