Aank ban jati hai sawan ki ghataa shaam ke baad
Laut jata hai agar koyee khafa shaam ke baad
Woh jo tal jati rahi sar se balaa shaam ke baad
Koyee to tha ke jo deta tha duaa shaam ke baad
Aahein bharti hai shab-e-hijar yateemon ki tarha
Sard ho jati hai her roz hawa shaam ke baad
Shaam tak qaid raha karte hein dil ke andar
Dard ho jatay hein sare hi rehaa shaam ke baad
Log thak haar ke so jatae hein lekin jaanaan
Ham ne khush ho ke tera dard saha shaam ke baad
Shaam se pehlay talak laakh sulaye rakhein
Jaag uthti hai mohabbat ki anaa shaam ke baad
Khawaab takraa ke palat jatay hein band aankhon se
Janay kis jurm ki kis ko hai sazaa shaam ke baad
Chaand jab ro ke sitaaron se galay milta hai
Ek ajab rang ki hoti hai fizaa shaam ke baad
Ham ne tanhaii se poocha ke milo gi kab tak
Us ne be-chainii se foran hi kaha shaam ke baad
Mein agar khush bhi raho phir bhi mere seenay mein
Soagwaari koyee roti hai sada shaam ke baad
Tum gaye ho to seyaah rang ke kapray pehnay
Phirti rehti hai mere ghar mein qazaa shaam ke baad
Laut aati hai meri shab bhar ki ibadat khaali
Janay kis arsh pe rehta hai Khudaa shaam ke baad
Din ajab mutthi mein jakray hue rakhta hai mujhay
Mujh ko is baat ka ehsaas hua shaam ke baad
Koyee bholaa hua gham hai jo musalsal mujh ko
Dil ke pataal se deta hai sada shaam ke baad
Maar deta hai ujar janay ka dohraa ehsaas
Kaash ho koyee kisi se na juda shaam ke baad