Aankh ban jati hai saavun ki ghaTa shaam kay baad
LouT jata hai ager koi khafa shaam kay baad
Shaam tuk qaid raha kertey haiN dil k ander
Dard ho jaatey haiN saarey hi rihaa shaam kay baad
Loog thuk haar kay soo jaatey haiN lakin jaanaaN
Hum ne khush ho kay tera dard sahaa shaam kay baad
Shaam se pehlay tuk laakh sulaaye rakheiN
Jaag uthti hai mohebbet ki anaa shaam kay baad
Chaand jub roo key sitaarooN se galey milta hai
Ik ajeeb rang ki hoti hai fizaa shaam kay baad
Mein ager khush bhi rahooN phir bhi merey seeney maiN
Sogaavari koi rooti hai sadaa shaam kay baad
LouT aati hai meri shab ki eebadat khaali
Jaaney kiss arsh pe rehta hai khuda shaam kay baad
Koi bhola hova ghum hai jo musalsal mujh ko
Dil kay paataal se daita hai sadaa shaam kay baad
Maar daita hai ujaR jaaney ka duhra ghum
Kaash ho koi kisi se na judaa shaam kay baad
**