ahem ahem ..hello shello logoon…hum hamesha soochte they k yahan kuch post karien..per kabhi kia nahi..per aaj than kar aye thi k is section ki bhi shoba badha hi dein ..so ere i am..blush…aur jo ghazal mein post kar rahi hoon bohat sundar hai,:teary:..sab wah wah karna ..snooty..
tu ahem ahem…
Tu ne dekha hai kabhi eik nazar shaam k baad
Kitne chup chaap se lagte hain yeh shajar shaam k baad
Itne chup chaap k raste bhi rahein gay la-ilm
Chod jayein gay kissi roz nagar shaam k baad
Mein ne aise hi gunaah teri judaai mein kiye
Jaise tofan mein koi chod de ghur shaam k baad
Shaam se pehle woh mast apni udanon mein raha
Jis k hathon mein they toote howey par shaam k baad
Raat beeti tu ginney aablay aur phir soocha
Kaun tha Ba-issay aghaaz-e-safr shaam k baad
Tu hai suraj tujhe maloom kahan raat ka dukh
Tu kissi roz mere ghur mein utar shaam k baad (wah wah wah )
Laut aye na kissi roz woh awara mizaj
khol rakhte hain issi aas pey dar shaam k baad
Mr Bongay thanx vanx…..ankhein zyada hi asman per nahi chedna shoro ho gayeen..hoonh
Bewafa tum negative sense ko tu choro.tum pehle yeh batao tum mein sense aye kab …halo..howa kab yeh hadsa…
aur haan Badi tu hoon mein..aur aa bhi gaye hoon…tu sahi kaha Badi aye..yeh Welcome shelcome karne ka naya style hai :halo:
Munneyyy Boringggg??? eek…yeh boring lagti hai tumhey?>…chch budzook log…..
CHunneyyy ufffffffff yeh poosti shakal yahan bhi ata hai……meri thread mein tum yeh fazool jamayaan nahi lo gay acha ..