shaam ho jaam ho subuu bhi ho
tujh ko paane ki justajuu bhi ho
dil se dil ki kahaaniyaa.N bhi sune
aankhon aankhon me.n guftaguu bhi ho
jheel si gahari sabz aankhon me.n
Duub jaane ki aarazuu bhi ho
sirf tere badan ki shamaa jale
aur andhera-sa chaar_suu bhi ho