Shaam-e-Ummeed Hai

Sham-e-ummeed hai aur shamma hain uski aankhain
Parda-e-kufr main rozan ki tarah jultee hain

Goya ik aisay musafir kay liey masha’l-e-jaan
jiski be-jeht zamaanay main koi raah na ho
Harf-e-be-maani koi saut koi aah na ho
Talab-e-nazzaara nazar ho koi nigaah na ho

Rafta lamhon ki syaahi mein ho manzil ojhal
Gard-e-ayyaam main gum-gushta ik-aik khyaal
Koi harakat mayyassar na koi hulchul
Mehv-e-baatil ho nazar ishq ba-roo-e-zawaal

Aur phir maujiza ho yakaayak aisa k
Meray sang-aashna wijdaan mein jharna phootay
Meray be-samt iraadon ko naya rusta milay
Ik naee jeht-e-posheeda say parda uthay
Kohkun ko ho ata dasht mein teeshay ka suraagh
Aik aawara-e-manzil ka thikaana aaey

Jaisay yaklakht jeenay ka bahaana mil jaaey
Harf be-rabt hon par aik fasaana mil jaaey

Shaam-e-ummeed hai aur shamma hain uski aankhain
Parda-e-kufr mein rozan ki tarah jaltee hain

Waha jee waha...

good one

niceeeeeeeee:k::k:

thanks 4 all :)