shaam-e-gham ki sehar nahin hoti?
ya hameen ko khabar nahin hoti?
ham nay sab dukh jahaan kay daikhay hain
bay-kali iss qadar nahin hoti
naala yun naarsa nahin rehta
aah yun bay-asar nahin hoti
chaand hay, kehkashaan hay, taare hain
koi shay naama-bar nahin hoti
aik jaaN-soz-o-na-muraad khaash
iss taraf hay udhar nahin hoti
dosto, ishq hay khataa, laikin
kiya khataa darguzar nahin hoti
raat aa kar guzar bhi jaati hay
ikk hamari sehar nahin hoti
bayqaraari sahi nahin jaati
zindagi mukhtasar nahin hoti
aik din daikhne ko aa jaate
yeh hawas umr bhar nahin hoti
husn sab ko khuda nahin daita
har kisi ki nazar nahin hoti
dil piyaala nahin gadaai ka
aashqui dar beh dar nahin hoti
Ibne-e-Insha