Shaam-e-firaaq

Shaam-e-firaaq ab na puuchh aayii aur aake tal gayii
Dil thaa K phir bahal gayaa, jaaN thii K phir sambhal gaii

Bazm-E-khayaal meN tere husn kii sham’aa jal gayii
Dard kaa chaaNd bujh gayaa, hijr kii raat dhal gayii

Jab tujhe yaad kar liyaa, subhh mahak mahak uthii
Jab teraa Gham jagaa liyaa, raat machal machal gayii

Dil se to har mu’aamlaa karake chale the saaf ham
Kahane meN unke saamane baat badal badal gayii

Aakhir-E-shab ke hamasafar ‘Faiz’ na jaane kyaa hue
Rah gayii kis jagah sabaa, subha kidhar nikal gayii

Re: Shaam-e-firaaq


bahot Khoob...bahtareen intiKhaab...mujhe JIgar kaa yeh she'r yaad aa gayaa:**

aaye bahaar ban ke, lubhaa kar chale gaye
kia raaz thaa jo dil meN chhupaa kar chale gaye! **:)

Re: Shaam-e-firaaq

:k:

Re: Shaam-e-firaaq

Bohat Khoob…:k:

Re: Shaam-e-firaaq

Nice :k:

Re: Shaam-e-firaaq

thank you :blush:

Re: Shaam-e-firaaq

:lajawab:

Re: Shaam-e-firaaq

Re: Shaam-e-firaaq

nicee muqawwee :lajawab: