Sehar
January 12, 2004, 5:15pm
1
shaam-e-firaq, ab na pooch, aayee aur aa ke tal gaee
dil tha ke phir behal gaya, jaaN thee ke phir sambhal gaee
bazm-e-khayal meiN tere husn ki sham’aa jal gaee
dard ka chand bujh gaya, hijar ki raat dhal gaee
jab tujhe yaad kar liya, subha mehak mehak uthi
jab tera ghum jagaa liya, raat machal machal gaee
dil se tou har ma’amla kar ke chalay thay saaf hum
kehne meiN un ke saamne baat badal badal gaee
aakhir-e-shab ke humsafar Faiz najanay kya huay
reh gaee kis jagah saba, subha kidhar nikal gaee
Re: shaam-e-firaq
[QUOTE]
*Originally posted by ~Sehar~: *
shaam-e-firaq, ab na pooch, aayee aur aa ke tal gaee
dil tha ke phir behal gaya, jaaN thee ke phir sambhal gaee
bazm-e-khayal meiN tere husn ki sham'aa jal gaee
dard ka chand bujh gaya, hijar ki raat dhal gaee
jab tujhe yaad kar liya, subha mehak mehak uthi
jab tera ghum jagaa liya, raat machal machal gaee
dil se tou har ma'amla kar ke chalay thay saaf hum
kehne meiN un ke saamne baat badal badal gaee
aakhir-e-shab ke humsafar Faiz najanay kya huay
reh gaee kis jagah saba, subha kidhar nikal gaee
[/QUOTE]
Bahut hi aa'laa contribution and really glad to see you ...:)
Thanks for sharing ~Sehar~ ... Takecare !
AQ
January 13, 2004, 5:01am
5
bazm-e-khayal meiN tere husn ki sham’aa jal gaee
dard ka chand bujh gaya , hijar ki raat dhal gaee
thank u for sharing such a lovely poetry