**Hum ne khushiyoon ki tarha dukh bhi ikhattay dekhay hain **
Tum meri aankh ke taivar na bhula paaoge
An-kahi baat ko samjhoge tu yaad aaonga
Hum ne khushiyoon ki tarha dukh bhi ikhattay dekhay hain
Safha-e-zeest ko paltoge tu yaad aaonga
Is judaee mein tum ander se bikhar jaaoge
Kisi ma’azoor ko dekhoge tu yaad aaonga
Issi andaaz se hotay thay mukhaatib mujh se
Khat kisi aur ko likhoge tu yaad aaonga
Meri khushboo tumhein kho legi gulaboon ki tarha
Tum agar khud se na bologe tu yaad aaonga
Sard raatoon ke mehaktay huwe sannatton mein
Jab kisi phool ko choomoge tu yaad aaonga
Aaj tu ho mehfil-e-yaraan pe magroor bahut
Jab kabhi toot ke bikhroge tu yaad aaonga
Ab tu yeh ashk mein hontoo se chura laita hoon
Haath se khud inhein ponchoge tu yaad aaonga
**
Shaal ab kaun pehnayega December mein tumhein**
Baarishoon mein bheegoge tu yaad aaonga
Haadsay aayenge jeevan mein tu tum hoke nidhaal
Kisi deevar ko thaamoge tu yaad aaonga
Is mein shaamil hai meri bakht ki tareeki bhi
Tum seyaah rang jo pehnoge tu yaad aaonga

**[Washi Shah] **
excellent :k::k::k::k:
arif jee keep posting:hug:i love to read ur collection:flower2: