eid ul fitar k baad pakistaan main ik dam shaadi season aa jata hai …mujhay shadi say masla nahi lakin yeh hamaray khi main tareeqa-e-kaar ban gaya hai
log saare saare rat mehndi waghera kay function main full volume recording bajatay hain .. hamaree raatain berbaad ker daytay hain
jitnay derwazay khirkiaan band ker lo ..koi faida nahi
abhi bhi samnay walay appartments ki roof per tent laga hoa hay or ik inntayhaaye baysuree awaz wala karaye ka admi mic per zor zor say pata nahi kia bolay ja raha hay
or intayhaye zor dar music or songs …shadi per to bulatay nahi lakin khamkha gaanay suna suna ker kaanoon k perday phaar rahay hain
khair …
asal sawal yeh hay k shaadi waloon ko soochna chaeye k woh apnee khushee main kitnay logoon ko taqleef daytay hain …agar yeh cheez in ki is shaadi ko berbaade main badal day to phir ?
You got a valid point. dar asl, log apni khushi main itne mast hote hain ke doosron ki takleef ka khayal nahin rehta. Its not limited to wedding ceremonies, chaand raat, 14 august, Muharram ki majalis, 12 Rabi ul Awwal ke Milad.... everyone disturbs neighbors with noise. Khushi karni hai to apne had tak rakho.. ibaadat karni hai to private rakho. Its all about riya / dikhawa / show off
India meN shaayad kuchh ban lagaa hai k rata ke raat ke 11 baje ke ba'd se subHo 7 am tak koii gaanaa bajaanaa loudspeaker par nahiiN ho saktaa aur imtiHaanaat ke dauraan bhii loudspeaker nahiiN lagaayaa jaa saktaa.
mujhe ek baat jo bahooooot hii ziyaada burii lagtii hai aur vo yeh k kisii ke ghar meN Ghamii huii hai, ghar waale ro dho rahe haiN, sogwaarii kaa maaHaul hai AUR saath hii saath paRosii moHalle ke kisii ghar meN shaadii byaah ho rahaa hai aur zor zor se loudspeaker par gaanaa bajaanaa ho rahaa hai...sharm kaa maqaam hai aur hamaarii be_hisii kii intihaa! :(
Isi liye yahan Shadi halls main city k bahir hotay hain ... aur Istiraha (resort or mini halls..jo bhi keh lo ) jinme ppl host other dawats like aqeeqa , mehendi etc bhi usually main city mai nai hotay.
asal sawal yeh hay k shaadi waloon ko soochna chaeye k woh apnee khushee main kitnay logoon ko taqleef daytay hain ...agar yeh cheez in ki is shaadi ko berbaade main badal day to phir ?
Loog barbadee ka sochtay he nai...sochte hotay tou huquq el ibad , israf ,gana bajana ( loud ho ya na ho music is haraam ) etc ye sub na krte.