Sannan
April 28, 2010, 10:51am
21
Re: Senior Member :)
kiya kaha waleeddddddddddddddddddddddd, mujay awaz nahi aa rahi
sanoooooooooooooo kahan haan app
Re: Senior Member
Haye haye… qurban joaan tum dunno apnee guftagoo karo phir
Mabadowlat ka koy aur kaam hain… zara darbaree thread ka haal check karneh do
Re: Senior Member
sanooo plz app nazrain na pharain abb, hum inki taab na laa sakain gay :jano:
Sannan
April 28, 2010, 10:57am
26
Bhai hamari walida muhtarma ko mat bata daina
Re: Senior Member
Worry not yaar mazaay uraao khoob :k:
Sannan
April 28, 2010, 11:00am
28
Re: Senior Member
Faris aur achaa
Kyaaa kiyaamat tho naheen shuroo hogaay? Mabadowlat ko jis ne dekha usko Allah bachaay hain na Sannan… warrior style yaad hain na
Sannan
April 28, 2010, 11:02am
30
Faris aap mairi walida muhtarma kay jallal say waqif naheen haiN woh hum ko aik ghair larki ko hamari taraf itni jigar pash nigahooN say ghortay daikh kar hamaiN ulta latka dain gi
Re: Senior Member
sano plzz moun na phairoo :jano: (idiot faris meray bhai haan, Allah unhay khush rakhain)
& Faris : Faris Bhai ya b mujay essay tang karta haa
app ki amme fighting like karti haan?
faris kal kar raha tha na essay, abb maza aya khud chir raha haa.
Re: Senior Member
Idiot Faris…
Waah jee waah
Mabadowlaat kaa khoob naame rakha aap ne
Aaj tak yeh naheen suna tha… tumhara dilchusp andaz e bayan zaroor tareef ke kabil hain…
Mabadowlat ke hukum ke mutahbik tumahar bee khoob anjaam hoga
Teyaar rehna humara duty officer hazir hain ap kilye
Sannan
April 28, 2010, 11:10am
37
sano plzz moun na phairoo :jano: (idiot faris meray bhai haan, Allah unhay khush rakhain)
& Faris : Faris Bhai ya b mujay essay tang karta haa
Mein munh naheen more raha mairay peechay Jasoos lagay hoiy haiN
Sannan
April 28, 2010, 11:11am
38
Idiot Faris…
Waah jee waah
Mabadowlaat kaa khoob naame rakha aap ne
Aaj tak yeh naheen suna tha… tumhara dilchusp andaz e bayan zaroor tareef ke kabil hain…
Mabadowlat ke hukum ke mutahbik tumahar bee khoob anjaam hoga
Teyaar rehna humara duty officer hazir hain ap kilye
Oye Faris bhai aap ko idiot kah dia
Aap iss ko iss thread say bahir nikaal daiN please
Re: Senior Member :)
@Faris Bhai kis nay app ko idiot Kaha :ASA:
@ sanan: apki ammee kay jasoos han?
Sannan
April 28, 2010, 11:16am
40
G haan … shukar hay aap key samjh mein hamari baat aa gai hay aur aab aap aisi waisi baat naheen karaiN gi na :aq: