Selfmade logon ka almiaa
Roshni mizajon ka kia ajab muqaddar hai
Zindagi k rastay may, bichnay walay kanton ko
Rah say hatanay may
Aik aik tinkay say,aashiaan bananay may
Khushbuaain pakarnay may, gulistaan sajanay may
Umr kaat daytay hain
Umr kaat daytay hain…
Or apnay apnay hissay k phool bant daytay hain
Kaisi kaisi khwahish ko, qatl kartay jatay hain
Darguzar kay gulshan may abar ban kay rehtay hain
Sabr kay samandar may kishtiaan chalatay hain
Yeh nahi kay in ko iss, roz-o-shab ki kahish ka
Kuch sila nahi milta
Marnay wali aason ka,
Khoon baha nahi milta
Zindagi kay daman may jis qadar bhi khushyan hain
Sab hi haath aati hain
Sab hi mil bhi jati hain
Waqt per nahi milteen, waqt per nahi aateen…
Yaani in ko mehnat ka,
Ajar mil tu jata hai
Laikin is tarha jaisay
Qarz ki raqam koi..qist qist ho jaay
Asal jo ibaarat ho, pass-e-nawisht ho jaay
Fasl-e-gul kay aakhir may phool in kay khiltay hain
In kay sehen may sooraj dair say nikaltay hain
(Amjad Islam Amjad)