SELF MADE LOGON KA ALMIA

ONE OF MY FAVOURITE !!!

ROSHANI MIZAJON KA KIA AJAB MUQADAAR HAI
zindagi kay rastaymain …bichnay walay kanton ko
rah say hatatay hain

aik aik tinkay say aashian banatay hain
khushbuain pakarnay main … gulistan sajatay hain
umar kaat daitay hain
umar kaat daitay hain

aur apnay hissay kay phul baant daitay hain
kaise kaise khauish ko qatal kartay jaatay hain
darguzar kay gulshan main abar ban kay rahtay hain
sabar kay samandar main … kashtian chalatay hain

ya nahe ka inko is
roz o shab ki kawish ka
kuch sila nahe milta
marnay walay aansu kaa.. khun baha nahe milta

zindagi kay daaman main
jis qadar bhe khushian hain
sab hi saath aate hain
sab himil bhe jaatehain

WAQT PAR NAHE MILTIN
WAQT PAR NAHE MILTIN

qarz ki raqam koi qist qist ho jasay
yane in ko mahnat ka ajar mil to jaata hai
lakin is tarh jasay
qarz ki raqam koi qist qist ho jaay
asal jo ibarat ho … pas ai nosht ho jaay

fasal ai gul kay aakhir main phul in kay khiltay hain
bas in kay aangan main
suraj
dair say nikaltay hain

Re: SELF MADE LOGON KA ALMIA

cool sharing clad :lajawab:

Re: SELF MADE LOGON KA ALMIA

good one :k: