-Noshi Gellani
*Vesaal-o-hijr maiN
ya khawab se mehruum aaNkhoN maiN
Kisi ehad-e-rafaaqat maiN
ke tanhaii ke jangal maiN
khayal-e-khaal-o-hadd ki roshni ke gehre baadal maiN
chamakti dhuup maiN ya phir
kisi be-abr saa'ye maiN
kahiN baarishh maiN bheeGhe jism-o-jaaN ke nas paaroN maiN
kahiN honToN pey sheroN ki mehkati abshaaroN maiN
charaghoN se saji shaamoN maiN
ya be-nuur raatoN maiN
Sehar ho runuma jese kahiN baatoN he baatoN maiN
koi lipTa hua ho jis tara
sandal ki khushbu maiN
kahiN par titliyoN ke rang tasveereN banaate hoN
kahiN par jugnu'oN ki muthhiyoN main roshni khud ko chupaati ho
kahiN kesa he manzar ho
kahiN kesa he mausam ho
tere saare havaaloN ko
teri saari misaaloN ko
muhabbat yaad rakhti hai.*
Nice one:k:…thanx for sharing.
khooob...
Bohat khoob!
Thanks for sharing... :)
Beautiful :k::k:
bohat aala :k:
:k:
awesome:k::k:
Thanks :-)
Lovely… :k:
its beautiful,loved it .
Thanks.
another nice contribution
thanx nazish! :k:
nice :k: