seenay main apnay.....

Seenay mein apnay, tum ko dafan kar duun
Roh ! mein tum ko basana chahta huuun

Apni Awaaz, apni zindagi teray sang kar duun
Dhoop mein, tujh ko chaoon banana chahta huun

Teri ankhon K. Kinaroon ko Band kar K.
In Jheelon mein Khud DooB Jana Chahta Huun

Tera Chahray Mein basi Koi Shaam Apni
In Laboon kay KinaRay ghar Basana chahta huun

Teri Har Saans say Zindagi ka Ehsaas pa Kar
Teray Jism kay har Khayaal mein Chup jana chahta huun

Meri Mehak Mein teri Khushbooo yun bus jaey
Tu Moti Mein seep ho jana chahta Huun

Teri Go’d mein sar, teray gaysuoon ko Anchal
Inhi mein chup kar, ab sona chahta huun.

Meri dhadhkanein to liya karti hain NaaM tera
Har dhadhkan tera naam leYna chahta huun

Meri ankhoon mein, tu basi rahay gi hamesha
teri thandak ankhoon mein basana chahta huun

zehan mein, soch mein nahin ek pal mujh ko sukoon
Teray Junoon ko sukkoon banana chahta huun

Apni muhabbat ko voh anjaaam dayna chahta huun
Is Muhabbat ko Tera NaaM deyna chahta Huun

Kar di Izhaar Batein jo chupi thein Dil Mein
Haan Mein tuh say - sirf Tujh say Pyaar Karna Chahta Huun…

:k:

Good!!!