Aap ke Ishq mein kya kya Na Kiya hai Humne
Yaani Tadpe bhi hai Hum, Dum bhi Diyaa hai Humne
Tere Sab Julm-o-Sitam sahte rahen hans hans kar
Khauff-e Ruswaee se Ashkon ko Piyaa hai Humne
Sahne Gulshan mein Kaliyon ka jo Tabassum Dekha
Tum ko us Waqt Bahot Yaad kiyaa hai Humne
Haath kya Aaaya Humen, Tumse Muhobbat karke
Apne hi aap ko Barbaad kiyaa hai Humne
Tere Gham mein kabhi Daaman ke kiye hai Poorje
Aur Kabhi Chak-e-Ghariban ko Siyaa hai Humne
Yoon to kahne ko Kiya Ishq magar Aye “Betaab”
Apne sar Muft ka Iljaam Liyaa hai Humne
nakhan
2
Re: saza-e-ishq
Oaay hooay kiya baat hay jii… 
bari dukhi aur achi ghazal hay…
Re: saza-e-ishq
**Abhi Ishq kay imtihaa’n aur bhi hain **
IS
6
Re: saza-e-ishq
^ zara cafe mai aien aap k maizbaan aur b hain 
Re: saza-e-ishq
Thanks for liking it guys 