**Jurm-e-ikhhlaas ke aisay bhe saza daitay hain
Loog apnon ko bhe nazroon say gira daitay hain
**
Taur laitay hain ik pal main sub rishtay natay
Sadiyun ke rafaaqat ko bhoola daitay hain
Tukray kartay hain mohobat ke tehreeron ke
Dooor ja k kehin paani main baha daitay hain
**
Ana k naam per behen ore beti ko bhe
Aag main jhoonk kar zinda jala daitay hain**
**
Jurm tau jurm hay wo chahay mohobat ka ho
Loog nishaana khhaloos ko bhe bana daitay hain**
**
Jin pay kartay hain wafaaon ka bharosa hum
Dost bun k rustay main daghha daitay hain**
**
Tum kahan yaad rakho gaiy humain ibn-e-aadam
Hum tumhain apnay dil main jagah daitay hain**
**
Jab ye likhtay hain mohobat ke kahani
Shama kee chah main perwana jala daitay hain **