hawa chal rahi hai, darakhat jhoom rahay hain or badal kisi haseen raqasa ka roop dharay naach rahay hain…
phir sawan rut ki pawan chali tum yad aye
phir patton ki pazeb baji tum yad aye
phir kunjen bolin ghas k hare samandar main
rut ai pile phulon ki tum yad aye
phir kaga bola ghar k sune angan main
phir amrat ras ki bund pari tum yad aye
pahle to main chikh k roya aur phir hansne laga
badal garja bijli chamaki tum yad aye
din bhar to main duniya k dhandhon main khoya raha
jab diwaron se dhup dhali tum yad aye
(Nasir Kazmi)
ehsan
2
Re: Sawan…
Jub kuch bhi howa tum yaad aye
Nice. :k:
Re: Sawan…
jitna janoo gay aziyat ho gi
yehi behtar hai k kamtar janoo
Re: Sawan…

tumharay feeder ka time ho gaya hai 
Nain
7
Re: Sawan…
app ko batana nahi araha ya khud bhi nahi pata hai 
Nain
9
Re: Sawan…
mae bohut khush hun app matlab bataye jo post kiya hai us ka 
Re: Sawan…
tum feeder pay dehaan doo…
Nain
11
Re: Sawan…
feeder pey hi dehaan de rahi hun app bher ker dijiye pori 
Re: Sawan…
meray hath say sirf jaam-e-mohabat he mil sakta hai 
Nain
13
Re: Sawan…
is se acha mae zeher pi lun 
Re: Sawan…
Mohabat ka jaam zehar bhara he hota hai…lakin talkhi zehar say ziada hoti hai…
Nain
15
Re: Sawan…
Muhabbat or zeher ka nahi pocha hai 
abb bataye matlab 
Diva
16
Re: Sawan...
Savaan aaey ...savaan jaey ... :D
Yahan , no savaan yt