Suno,
Is baar jab sawan bharsay ga
Hum bhi choopkay say
Sang us kay bharsain gay
Suno,
Is baar sawan bohat ajeeb ho ga
Bahir say barish barsay gi
Bijali chamkay gi, badal bhi garjay ga
Magar yai bhi qanoon hay kay
Hum choopkay say barsain gay
Suno,
Kon hum ko thamay ga jab badal garjay ga?
Hum daar kay hood main simat jayain gay
Yai to socho…
Kooch keh bhi na payain gay
Hum maar hi jayain gay!
Suno,
Badl jo pani barsatain hain
Un say to silab a jata hay,
Fasal hari hari bhi ho jati hay
Hamri ank kay pani say to bus
Hamara dil hi dukta hay!
Suno,
Fasloon ko barish ki zaroorat hoti hay
Loogo ko bhi pani ki sidat say chahat hoti hay
Magar, huamary ansoo to bewuqat say hotain hain.
Suno,
Ho sakay to badloon kay sang
Tum bhi chalay ana…
Bun kay ghata tum cha jana…
Ajana na tum a jana….
really is baar sawan bohat hee ajeeb hai
bohat TooT kay baras raha hai
bijli bhi kaRak rahee hai chamak rahee hai
magar aisa tu hamesha hee hota hai
sawan tu sawan hee hota hai na...
waisay bohat achi hai...
bye the way kyu itni muztarib kaifeeyat hai aap ki... ;)
[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
really is baar sawan bohat hee ajeeb hai
bohat TooT kay baras raha hai
bijli bhi kaRak rahee hai chamak rahee hai
magar aisa tu hamesha hee hota hai
sawan tu sawan hee hota hai na...
waisay bohat achi hai...
bye the way kyu itni muztarib kaifeeyat hai aap ki... ;)
[/QUOTE]