Ik sang tarash, jis ne barson
Heeron ki tarha sanam tarashay
Aaj apne sanam qaday main tanha
Majboor, nidhal, zakham khurda
Din, raat para karahata hai
-
Chehray ujjar zindagi ke
Lamhaat ki an-ginat kharashain
Aankhon se shikashta marqadon main
Roothi huwi hasaraton ki laashain
-
Saanson ki thakan, badan ki thandak
Ehsaas se kab talak lahoo ke
Haathon main kahan saqat ke bhardh kar
Khud saakhta peekaron ko choo le
-
Yea zakham-e-talab, yea na-muradi
Har butt ke labon pe hai tabbasum
Ay teesha badast dewtao
-
Takhleeq azeem hai ke Khaliq?
Insan jawab chahta hai.
—
Re: Sawal..
buhat suthri poetry g