sawaaal naamay ko dekhta he jaata hoon....!!

Bay nigaah aankhon say
dekhtay hain parchay ko
bay khayaal hathon say
an-bunay say alfzone par
ungliyaan ghumaatay hain
ya sawaal-naamay ko
dakhetay he jaatay hain
har taraf kan-akhiyon say
bach bachaa kay taktay hain
doosron k parchon ko
rehnumaa samajhtay hain
shayad is tarah koi
raasta he mil jayay
bay-nishaan khawaabon ka
kuch pata he mil jayay

mujh ko dakhetay hain tu
yoon jawaab copy par
haashiyay lagaatay hain
daayeray banaatay hain
jaisay in ko parchay kay
sub jawaab aatay hain
is tarah k manzar main
imtehaan-gaahon men
dakheta he rehta tha
naqal karnay waalon kay
nit nayay tareekon say
aap lutf leta tha
doston say kehtaa tha

kis taraf say jaanay ye
aaj dil kay aangan main
ik sawaal aaya hay
senkaron sawaalon saa
ik sawaal laaya hay
waqt ki adaalat main
zindagi ki soorat main
ye jo teray haathon main
ik sawaal naama hay
kis ne ye banaaya hay?
kis liyay banaaya hay?
kuchh samajh main aayaa hay?

zindagi kay parchay kay
sub sawaal laazim hain
sub sawaal mushkil hain
bay-nigaah aankhon say
dekhta hoon parchay ko
bay khayaal haathon say
an-bunay say lafzon par
ungliyaan ghumaataa hoon
haashiyay lagaataa hoon
daayeray banaata hoon
ya sawaaal naamay ko
dekhta he jaata hoon…

(Amjad Islam Amjad)

Re: sawaaal naamay ko dekhta he jaata hoon…!!

sab sawaal lazim hai. aur no MCQs… :nahi:

My all time favorite poem.

Re: sawaaal naamay ko dekhta he jaata hoon....!!

Ager open book test say fida uthaya howa hota to sawalo jawab main asani jo jait.. mager jab book hi na uthaye ho.. to mcq ka koi faeda nahi hia....

Re: sawaaal naamay ko dekhta he jaata hoon....!!

zindagi ka sawal nama open book hi hai, lekin logon doosron ke anjaam se sabaq nahin seekhte

Re: sawaaal naamay ko dekhta he jaata hoon....!!

AIA key taveel nazmaiN bhi buhat maza daiti haiN. Nice sharing

Re: sawaaal naamay ko dekhta he jaata hoon....!!

really good