Re: Saving a DVD on to my Comp
wesse jahan takk hamai ilm hai, ye ghair qanooni baat hai, yani aap DVD ke naqal nahe bana saktai qanooni tour pur. pur agar bana he hai tu ISO image bana kur bhi mahfooz kiya ja sakta hai, agar apke hard disk mai jagah ho. isska faida ye hai kai agar aap baad mai apni khalee DVD mai naqal karna chahain tu maayaaar mai farq nahe aay ga. uskai ilawa jahan takk ISO image se film dekhnai ka taluk hai uskai liya VIRTUAL DRIVE ko istemaal karain. hamarai khayal mai baqaee mahaireen samajh gai hon gai hum kiya kehna chah rhai hain.