Dil ne zara se gham ko qayyamat bana diya
Warna woh aankh itni zeyada khafa na thee
Yun dil laraz utha hai kisi ko pukaar kar
Meri sada bhi jaise ke meri sada na thee
Barh-e-khizaan jo shaakh se toota woh khaak thaa
Is jaan supardagi ke tu qaabil hawa na thee
Har jism daagh daagh thaa lekin Faraz hum
Badnaam yun huwe ke badan per qaba na thee…