Honsla Chhorr Gaya Sath Nibhane Wala,
Jane Kis Simt Gaya Aaj Woh Jane Wala … !
Aaj Phir Aankh Me Aaye Hain Hazaron Aansu,
Aaj Phir Yaad Woh Aaya Hai Bhulane Wala … !!
Ab Kahin Ja Ke Mere Zakham Bhare Hain Dekho,
Ab Kahin Loat Ke Aa Jaaye Na Jane Wala … !!!
Ae Khuda Us Ka Har Eik Khawab Salamat Rakhna,
Gham Na Dekhe Kabhi Woh Mere Khawab Jalane Wala
“ Ab Kahin Raah Me Mil Jaye To Itna Kehna,
Mar Gaya Kab Ka Tere Naaz Uthane Wala ”