Sath Hain...!!!

Abhi dil mein goonjti aahtain mere sath hain,
*Tu nahin hai aur teri dharknain mere sath hain,

Tu ne aik umar ke baad poocha hai haal e dil,
*Wohi dard o gham wohi hasrtain mere sath hain,

Tere sath guzrey haseen lamhey lamhon ki shokiyan,
*Wohi rang o buu wohi ronkain mere sath hain,

Mere zehen main hain mohabton ke woh raat din,
*Woh aziyatain, woh nawaazshain mere sath hain,

Jo bichartey waqt, Shumaar tu ne kiye bohat,
Woh tamaam shikwey shikayatain mere sath hain…!!!

Sath Hain...!!!

Nice

Re: Sath Hain…!!!

:hat:

Re: Sath Hain…!!!

Jo bichartey waqt, Shumaar tu ne kiye bohat,
*Woh tamaam shikwey shikayatain mere sath hain…!!!

ki faida :hinna:
*

Re: Sath Hain…!!!

Bohat Umdah…:lajawab:

Re: Sath Hain…!!!

:hat: