Youn Hosla Dil Nay Hara Kab Tha
Sartaan Mera Sitara Kab Tha
Lazim Tha Guzarna Zindagi Say
Bin Zehar Piye Guzara Kab Tha
Kuch Pal Usay Or Dekh Saktay
Ashkon Ko Magar Gawara Kab Tha
Hum Khud Bhi Judai Ka Sabab Thay
Usi Ka Hi Kasoor Sara Kab Tha
Ab Kisi Or K Sath Hai To Kia Dukh
Pehlay Bhi Koi Hamara Kab Tha