Aik sardar ji London jo pohanchay, unhon nay ghar set kernay kay leay sub say pehlay T.V khareednay ki sochi, aur aik baray store kay andar gaey aur wahan aik counter per salesman say poocha kay,
“Yay T.V. kitnay ka hai” ?
“Hum sikhon ko T.V. nahi bechtay”. Salesman nay tika sa jawab deya.
Sardar Ji ko jhatka zore say hi lag gaya aur unhon nay Guru ki qasam khai kay yahi T.V. khareedoon ga.
Dosray din Sardar Ji getup badal ker black glasses laga ker aur mukhtalif dress main gaey aur phir salesman kay pass je ker poocha kay,
“Yay T.V. kitnay ka hai” ?
“Hum sikhon ko T.V. nahi bechtay”. Salesman nay phir wohi jawab deya.
Sardar Ji phir hairaan hoey kay kay itnay mukhtalif getup main bhi salesman nay unhain kaisay pehchaan leya, saath hi woh aur ziada gussay aur zid main aa gaey.
Teesray din Sardar Ji nay clean shave kiya aur pagri tak utar ker apna grtup qatai mukhlatif ker leya aur ja pohanchay usi store main aur phir salesman say sawal kiya
“Yay T.V. kitnay ka hai” ?
“Hum sikhon ko T.V. nahi bechtay”. Salesman nay itmenaan say phir wohi jawab deya.
Ab to Sardar Ji ka gussa bohat berh gaya.
Forth day woh ladies getup main usi store ja pohanchay aur phir wohi sawal kiya.
“Yay T.V. kitnay ka hai” ?
“Hum sikhon ko T.V. nahi bechtay”. Salesman ka phir wohi jawab tha.
Ab Sardar Ji nau himmat haar di aur intehaai aajizi say salesman say mukhatib hoey .
“Bhai aik baat to batao … main itnay getup badal badal ker aata raha hoon aur tum her dafa mujhay pehchaan laitay ho. Akhir kaisay” ???
Salesman nay itmenaan say jawab deya “jisay char din say aap T.V. keh rahay hain woh der asal Washing Machine hai”.
![]()