1:sardar g samoosay k andar ka masala kha rahay hotay hain,
sardar g k dost poochtay hain ye sirf andar ka masala kion kha rahay ho?.
sardar g kehtay hain k doctor nay mujhay bahir ka khanay say mana kia hai.
2:Sardar g 2 Doctor,doctor saahib mujhay door ka dikhai nahi daita,
Doctor,woh khirki say bahir aasman par daikho kia hai?
Sardar g,doctor saahib woh Chaand hai,
Doctor Saahib,pagal ab is say door kia daikhna hai tumhay.![]()
3:Aik larka apnay dost say,yaar main aur meri girl friend shaadi kar rahay hain,
Dost,Very good kab hai tumhari shaadi,
Larka,meri girl friend ki 20 nevember ko aur meri 21 december ko:)
4:Aik pathan kisi scheme main 5000 ka coupon fill kartay hain aur unka 20 lacs ka gift nikalta hai,
companay unhay invite kar k kehti hai k sardar saahib kuch taxes cut hokar aapko ye 19 lacs 50 thousand mubarik ho,
sardar saahib kaafi lartay hain aur kehtay hain k hamen nahi pata ham ko pooray paisay do ya hamaray 5000 wapis do:)
5:Sardar Saahib 2 Doctor ,Doctor saahib mujhay baat kartay howay insaan nazar nahi aata,
Doctor,aisa kab hota hai?
Sardar saahib,phone par baat kartay howay:)