Sard mausamon ke dukh
Kitne sard hotay hain
Koi aah
Koi fareyaad
Koi shikwaah
Koi shikayat
Kuch bhi tau nahe hota in mein …
In mausamoon ke baasi shajar bhi
Be-libaas rehtay hain
Pattay bhi nahe jaanay
Fana ki kin ghehraeyoun mein
Be-awaaz gir jaatay hain
Phool jan-jane kyon bin khilay hi
Be-naam si maut mar jaatay hain …
Sard mausamon ki hawaayain
Ajeeb rang mein nauha-kanaan hoti hain
Jaise kisi jawaan marg pe
Kaheen chupke chupke
Kisi konay mein aanchal lapetay
Koi ujri suhaagan
Hichkeyoun mein sisakti ho …
Aisa hi aik sard mausam
Tau mere ander bhi rehta hai
Jane kyon is-qadar tanha sa lagta hai
Yaadoon ke sab zard pat’tay jhar chuke hain …
Sard mausamon ke sab dukh
Mere ander uttar chuke hain …