Sarakti jaaye hai rukh se naqaab aahistaa ahistaa

*sarakati jaaye hai rukh se naqaab aahistaa-aahistaa *

nikaltaa aa rahaa hai aaftaab aahistaa-aahistaa
**

*javaan hone lage jab vo to ham se kar liyaa pardaa *
hayaa yak_lakht aayi aur shabaab aahistaa-aahistaa
**

*shab-e-furkat kaa jaagaa hoon farishton ab to sone do *
kabhi fursat main kar lenaa hisaab aahistaa-aahistaa
**

*savaal-e-vasl par un ko uduu kaa khauf hai itnaa *
dabe honthon se dete hain javaab aahistaa aahistaa
**

*hamaare aur tumhaare pyar main bas farq hai itnaa *
idhar to jaldi jaldi hai udhar aahistaa aahistaa
**

*vo bedardi se sar kaaten ‘Amir’ aur main kahoon unse *
*huzoor aahistaa-aahistaa janaab aahistaa-aahistaa *

Re: Sarakti jaaye hai rukh se naqaab aahistaa ahistaa

Wah saee'n. Kya baat hai :)
AHISTA AHISTA

Re: Sarakti jaaye hai rukh se naqaab aahistaa ahistaa

Wani Lawhori saayin ek hore ghazal pesh ki hai :)

Yeh maana zindagi hai chaar din ki

*yeh maanaa zindagi hai chaar din ki
bahut hote hain yaaro chaar din bhi

khudaa ko paa gayaa vaa_iz magar hai
zaroorat aadami ko aadami ki

milaa hoon muskuraa ke us se har baar
magar aankhon main bhi thi kuchh nami si thi

muhabbat main kahen kyaa haal dil kaa
khushi hi kaam aati hai na gham hi

bhari mehfil main har ek se bachaakar
teri aankhon ne mujh se baat kar li

ladakpan ki adaa hai jaan-levaa
ghazab ki chhokari hai haath-bhar ki

raqeeb-e-gamzadaa ab sabr kar le
kabhi us se meri bhi dosti thi
*

Re: Sarakti jaaye hai rukh se naqaab aahistaa ahistaa

great one...

Re: Sarakti jaaye hai rukh se naqaab aahistaa ahistaa

Dil Mein Uterti Jaey yeh Shairi Ahist Ahista :)

Nahin ki milne milane kaa silsila rakhna

*nahin ki milne milaane kaa silsilaa rakhnaa
kisi bhi satah pe koi to raabtaa rakhnaa

madad ki tum se tavaqqo to khair kyaa hogi
Gariib-e-shahar-e-sitam hoon meraa pataa rakhnaa

marenge aur hamaare sivaa bhi tum pe bahut
ye jurm hai to phir is jurm ki sazaa rakhanaa

naye safar pe ravaanaa huaa hai az-sar-e-nau
jab aaoongaa to meraa naam bhi nayaa rakhanaa

hisaar-e-shauq uthaanaa 'Zafar' zaroor magar
kisi taraf se nikalne kaa raastaa rakhanaa *

Re: Sarakti jaaye hai rukh se naqaab aahistaa ahistaa

so sweet...