- “Saraab”
- **Woh khuloos tha kay khummar tha …
woh junoon tha kay “Saraab” tha …
mujhay soochnay main zamana laga …
mujhay manziloon nay bhula dia …
mujhay jis maseeha pay maan tha …
Mujhay ous nay sooli charha dia !
Kaie humsafar … kaie rah guzar …
mujhay rastay main milay magar …
meri tishnagi koi or hai …
meri justujo koi or hai … ** - **woh jo roshni ki tarha barhay …
magar ansuoon main sama sakay …
jo subha ki pehli kiran banay …
meray dil ka angan nikhaar day …
jo mohabatoon ki ravayatain …
lahoo ki bali say sanwar day …
mujhay ous wafa ki talash hai .. ** - **Magar eis jahan e kharaab main …
Yehan khowahishoon kay “Saraab” main …
mujhay kon day aesi wafa…
main kahan say laoun woh wafa…
einhi uljhanoon main ghiraa hoa …
yehi soochta main chalaa geya
**