Sara aalam gosh bar aawaz hai
Aaj kin haaton mei dil ka saaz hai
Han zara jurrat dikha ai jazba-e-dil
Husn ko parday pe apnay naaz hai
Kam-nashein dil ki haqeeqat kya kahoon
Soz mei dooba hua aik saaz hai
Aap ki makhmoor aankhon ki qasam
Meree maikhawaree abhi tak raaz hai
Hans diyae woh meray ronay per magar
Un ke hans denay mei bhi aik raaz hai
Chhup gaye woh saaz-e-hastee chaidh ker
Ab to bas aawaz hi aawaz hai
Husn ko naahaq pareshan ker dia
Ai junoo’n yeh bhi koii andaaz hai
Saari mehfil jis pe jhoom utthi ‘Majaz’
Woh to aawaz-e-shikast-e-saaz hai
Dilsay
2
Re: Sara aalam gosh bar aawaz hai
[QUOTE]
*Originally posted by 7up Supari: *
Sara aalam gosh bar aawaz hai
Aaj kin haaton mei dil ka saaz hai
Han zara jurrat dikha ai jazba-e-dil
Husn ko parday pe apnay naaz hai
Kam-nashein dil ki haqeeqat kya kahoon
Soz mei dooba hua aik saaz hai
Aap ki makhmoor aankhon ki qasam
Meree maikhawaree abhi tak raaz hai
Hans diyae woh meray ronay per magar
Un ke hans denay mei bhi aik raaz hai
Chhup gaye woh saaz-e-hastee chaidh ker
Ab to bas aawaz hi aawaz hai
Husn ko naahaq pareshan ker dia
Ai junoo'n yeh bhi koii andaaz hai
Saari mehfil jis pe jhoom utthi 'Majaz'
Woh to aawaz-e-shikast-e-saaz hai
[/QUOTE]
Very nice and welcome.....